Dhoop badnaam hai yaar

By Nikita Arora 
@ badalati_kahaniyan
Wo garmi ki chuttiyan,
Wo shaitaniyon ka maza,
Khelte khelte gir jane ki saza ,
Bachpan hi toh tha wo yaar
Jab bholepan ka charcha tha bahar,
Maa ka bahar na bhejna bolke 
Bahar bahot dhoop hai yaar,
Shyad tabhi dhoop badnaam hai yaar...
Uss samay ,
Kahan tha hosh beemar hone ka,
Kahan tha waqt yeh sab sochne ka,
Wo gili dhanda wo football ka zor
Wo chupne chupane ka halla wo cricket shor,
Wo bottle leke jana kaha krti thi ,
Sham ko hi niklna kehti thi maa ,
Dhoop bahot hai keh kar sula deti thi maa,
Shyad tabhi dhoop badnaam hai yahan.....
Na darr tha tanned hone ka ,
Na fikr thi chot lagne ki,
Chot lagti jab rote the ,
Toh dost kehte the arrey chal chal, phir se khelte hain na yaar,
Humain kya pta tha bachpan kuch pal main hi dal jayega ,
Mehz mausam ka yeh alam hi ab har saal aayega,
Yeh garmi iss qadar humain jalayegi ki,
Bachapan ki wo yaadein yun humain satayengi,
Per phir bhi bolte rahenge hum yaar ki
Shayad dhoop ab bhi badnaam hai yaar...
-------------------------------------------------------------------------------------------
This poem won in Instagram Weekly Contest held by @delhipoetryslam on the theme 'Indian Summer' 

3 comments

  • yadein

    PRAMOD KUMAR MISHRA
  • yadein

    PRAMOD KUMAR MISHRA
  • nostalgia!1

    Tanvi

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published