Sapne dekhna aadat he

By Ashish Mishra

Mera kaam mere lie kaam nahi
Sach mano to ibadat he
Ankho ko sapne dikhana
Mann ki mere shararat he
Chiti ki tarah girke fir deewar pe chadna
Manjil me lagti lagat he

Mene aasmano ko chuke dekha he
Parindo se baate karke dekha he
Pahado se udte hue nadi me girke dekha he
Tu aur me banaenge kisi aam ke ped pe ghar
Ye sab kal sach hoga jo mene aaj sapno me dekha he

Hakeekat bhi buri nahi
Par mere sapno si hasin nahi
Sapno me vo chali aati he
Jo hakeekat me dikhti nahi
Band aankho me aksar kale ho jate he sapne
Islie khuli aankho se sapne dekhna meri aadat he


Tum muje sapne dekh dar kyo jate ho
Muje yo jeeta dekh mar kyo jate ho
Kya meri udan se koi hadsa najar aata he
Ya tu meri uchaio se ghabrata he
Fikar naa kar kar me rukunga nahi
Kyoki gir ke fir chalna to meri aadat he


Log kehte he ki dil tod dete he aksar sapne
Par Todke ghar ko mahal banaa to meri aadat he
Tumhe tumhari jhooti zindgi ho mubarak
Sapne dekhna aur unhe sach kar dena
yehi meri aadat he
Aur
Bus ye he muje aata he

Graham bell ne bhi meelo door bethe logo se
Door se baat krte sapne me dekha hoga
Jese haste ho tum mujhpe vese he
sara jamana unpe hasa hoga
Aasmano me udne valo
Tume udhane ka sapna
wright brothers ne dekha hoga
Sev se gravity ka pata lagata
Kya pata newton bhi
Sapno me betha hoga


Sapne dekhna asaan nahi
Ye to koi chota kaam nahi
Gandhi bhagat singh aur
bose ne bhi sapna dekha hoga
Jisme me aur tu saans lete he
Is azaad bharat ka sapna
Unonhe hum sabse phle
Sapno me dekha hoga

Aa kabhi spno ki galliyon
Tujko bhi inka deewana bana doon
Chod aae agartu murdo ki dunia
To aa tuje jeena sikhadu
Kyoki hasin mahol ko aur hasin
bana dena meri aadat he

15 comments

  • http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/ – Amoxicillin Amoxil Causes Gallstones yzq.szwn.delhipoetryslam.com.kng.jk http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/

    itsutiawpo
  • http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/ – Amoxicillin On Line Amoxicillin kah.bhaf.delhipoetryslam.com.eks.bw http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/

    iveyabitusexi
  • http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/ – Amoxicillin Amoxicillin Online kcc.rqzp.delhipoetryslam.com.gkc.xl http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/

    idipifep
  • http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/ – Buy Amoxicillin Amoxicillin mme.yyaa.delhipoetryslam.com.tbg.ui http://mewkid.net/when-is-xuxlya2/

    ikasise
  • jawaani ke kayamat daur me ye sochte hai sab, ye hakikat ka hungama hai, ya khwabo ka hungama!

    Akshit Mudgal
  • “Band aankhon se sapne dekhna…Graham bell, Wright brothers.” Superb work. I enjoyed your piece…it shows a valley of dream! Good job. Keep it up!

    Priti Yadav
  • Amazing poem mishra… a perfect piece of art…you have lot of talent keep going!!!

    Ujjwal
  • Bhaiya Bahut Hi Tagda ……Unda Likhte Ho Tum???
    Kalakaar Mishru Bhaiya

    Prashant Bittharia
  • Bhai loved every bit of it.
    Proud of you brother

    Madhur
  • Bhot khoob………Loved it??

    Satakshi mishra
  • “Band aankho me aksar kale ho jate he sapne
    Islie khuli aankho se sapne dekhna meri aadat he”
    This really took me by surprise…. Amazing piece of writing!

    Ishi Dass
  • Sapne dekhna asan nhi
    Ye to koi chota kaam nhi…
    Nice line..
    And loved your hinglish..

    Neha Singh Parihar
  • Just awesome….!

    swadesh barai
  • Stunning!

    Zainab
  • Bas iss ibadat ko hi toh aadat banana hai, beautiful….

    Mudita Raj

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published