Loneliness, a bliss at times

By Md Samir Alam

Zindagi ke is safar me;

Tanhaai hi ek humsafar hai.

Na puchti hai sawal;

Na mangti hai zawab.

Duniya ke alag chehro ko;

Karti hai ye benaquaab.

Bikhre hue sapne ho;

Ruthe hue apne ho.

Thodi si der ki tanhaai;

Mita deti hai zakhmo ko.

Tanhaaai ek aaina hai;

Khud ke andar jhakne ki.

Tanhaai ek tarika hai;

khud se hi dukh baantne ki.

Duniya ke har ek mod pe,

Kitne log hai saath mere;

Lekin is bhaag-daud me,

Tanhaai mere saath hai.

5 comments

  • Wow! Bahut badhiya :)

    Annie
  • Beautiful!

    Abeer
  • Beautifully written. Awesome work

    Prashant Saini
  • This is so very well written

    Aakash Singh
  • Very well written

    Ashish Kumar Gupta

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published