पहला दीदार

By Shikhar Sheoran  

Tere gore se mukhde pai woh kala sa til
Chehre ka Noor sundar sushil
Sidhi sachi tu muskati hui
Bholi chideya si cehchati hui
Sarmana tera bhavre ke tarah
Uthana tera kirno ke tarah
Bechaini mere dil ke harr raste par
Jab shamil na ho tu meri din chariya par.

Mukh se nhi
Aankho se hee
Hoo jati h baate sabhi
Reh jata hu stabdh mei
Aati h jab tu mere samne

Dekha tujhe dhadkan ruki
Saase meri thami thami
Mei ek tha aadha hua
Tere husn ka jab dedar hua

Shikhar ek mamuli kavi
Tere roop ke chehre likh skta nhi
Par likhna aur chahata hu mei kintu
Tere charche inn mamuli paano par aayenge hee nhi.

Dhanavyad.


Leave a comment