By Sanjay Taneja
*Biti kal ki baaten, kal ki baat puraani
Naye zamane me ayyen hain, likhne nai kahaani
Naya khoon hai, nai hai duniya aur nai zindgani
Hum nanhe rahi, hum nanhe rahi--------
*Hum bhi naye duniya se naata jod chuke hain
Maa ke anchal ko ab hum chood chuke hain
Chanda mama ke pass ja pahunche hain aaj thikane
Kitane parwat inn raahon se hain aur hataane
Naya khoon hai, nai hai duniya aur nai zindgani
Hum nanhe rahi, hum nanhe rahi--------
*Apne haathon ko apna bhagawaan banayen
Aur mehnat ko hi apna imman banayen
Ram, Krishan ki iss pawan dharati ko apna
Sapnon se bhi pyaara hindustan banayen
Naya khoon hai, nai hai duniya aur nai zindgani
Hum nanhe rahi, hum nanhe rahi--------
*Taj mahal aur Lata didi sa pyar nibhayen
sone jaise mitti ka hum tilak lagayen
Ganga aur Yamuna ke jaisa pravah chalayen
Naman shaheedon ko kar ke ekbar dikhayen
Naya khoon hai, nai hai duniya aur nai zindgani
Hum nanhe rahi, hum nanhe rahi--------
*Naaz ho maa ko aisa ban ke hum dikhlayen
Bharat mata ke sachhe sapoot kahlayen
Duniya ho bus pyar bhari, yahi seekh sikhlayen
Shanti aur ahinsa ka hum path padayen
Naya khoon hai, nai hai duniya aur nai zindgani
Hum nanhe rahi, hum nanhe rahi--------"