By Sonali Joshi
Tumhaara milna ek ittefaq hai,
Ya ye dil ki gehraiyon mein chupa koi raaz hai?
Ye raaz hai toh iss raaz ko raaz hi rehne do,
Adhoore pyaar ki kitaab mein isko tum phoolon ki pankhuriyon ki tarha chupe rehne do.
Kyunki ye raaz nahi vo raaz hai jo aa sakta sabko raas hai,
Kyunki ye raaz uska raaz hai jiski khud khamoosh awaaz hai.
Us khamoosh awaaz mein chupe un labzon ki ye baat hai,
Jo bethe oodhe sharam-o-haya ki ik sunhaeri si poshaak hai.
Un sehme honthon se meri bas ik yahi darkhuast hai,
Darr mat, tu kehde aaj jo tere dil ki vo fariyaad hai.
Kis baat ka hai dar tujhe, kis wajah se yun itna pareshaan hai?
Kya hai vo khata jo kardi tune, jisse aaj tujhe khud aetraaz hai?
Tujhe darr hai kya iss zamaane ka? Ya fir apno ki nazron mein girr jaane ka?
Ya hai khauf tujhe uss chaahat ke kho jaane ka?
Vo chaahat jo tu betha chupaaye iss dil mein hai,
Vo chaahat jiska zikar karne se teri zubaan toh darti hai, par ye dagabaaz aankhein teri sab bayaan karne ki gustaakhi bhi toh karti hai.
Vo chaahat jo aabaad tujhe kar sakti hai,
Par tu darta hai kyunki teri barbaadi ka hausla bhi ye rakhti hai.
Ishq karne waale yun dara nahi karte,
Par raaz dilon ke sabhi yun bayan nahi karte.
Band rehne do inhe pholoon ki pankhuriyon ki tarha us adhoore pyaar ki kitaab mein,
Wahin ye mehfooz hai aur wahin ye abaad hai,
Unhi panno mein band, mere dil ka ye ik raaz hai.
http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/ – Amoxicillin 500 Mg Amoxicillin 500mg zac.scvd.delhipoetryslam.com.sqx.vd http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/
http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/ – Amoxicillin Buy Amoxicillin Online Without Prescription fwj.gvra.delhipoetryslam.com.ikw.cv http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/
http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/ – Amoxicillin Online Buy Amoxicillin kkk.kene.delhipoetryslam.com.pnf.pf http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/
http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/ – Buy Amoxicillin Online Amoxicillin 500mg Capsules cqo.dlvy.delhipoetryslam.com.lte.gu http://mewkid.net/when-is-xuxlya3/
Par raaz dilon ke sabhi yun bayan nahi karte ?
Par sabhi raaz dil apni raazdili ko itni khusi se band rehne do ki guhaar nahi karte.
A really good poem! Specially the last 4 lines!
Touches my heart! ❤️
« Previous 1 2