By Ramsha Aveen
Zaroori nhi agar insan akela ho toh vo dusron ko apne akelepan me shamil kare uske pas vo khamoshi sanate sab uske hain jis tarh insan apna wajood nhi bath sakta use tarah vo apne yeh udasi bhi vo kyun tmhre sathi bane kya haq hai unka ..jo tumhare andar hai ,jo tmhare sath rehta hai ..tmhre wajood ka hissa hai kyun tum use dusron ko soopna chahte ho tumhre tanhai tmhare chekhon ki awaz hai kyun use dusron ko dena chahte ho kyun tum apna hi haq chen rhe yeh toh khud ki zindagi ke sath zyati krna hai apne rooh ko zakham se bharna hai yeh toh ehsas hai jo Har waqt tmhra picha krta hai kbhi bhed me toh kbhi bistar pe padhi silwat ki tarah tmhre jism pe rengta hai yeh sab tmhre andar hai yeh manhos jazbat kbhi tmhra picha nhi chodhte bas ankh michuli khelte hai or tm samjhte ho ki vo pakra gya vo tmhre andar hi chipe baithe hain kbhi khud ke andar toh jhake ke dikho..or tum chle ise bathne ..jaise zindagi ek dhokha hai sirf fareb hai..kash koi aaina aisa hota jisme hum apne chehre ko nhi apne rooh ko dikh pate or is fareb ka khatma hopata apni tanhai se mat bhago vo jb roth ke wapis aati hai or taklef deti hai ise dusron ke hawale mat karo ..vo sirf tmhare hai uspe tmhra haq hai ..kbhi khushiyun ke parde se jhakti ..kbhi rat ke khamoshi me tme apne bahon me bharleti ..vo tmhre andar hai or tum uske ..tum ek dusre ki adat ho vo tme pura krti or tum use...vo tmhre pas rehna chahti hai use kisi or ke Zindagi me shamil mat kro ...vo tmhre andar hi chip jati hai phr kbhi tmhre ansu me siski me pas aati ..tum har manke uske aage apne ghutne tek dete ho phr vo bde pyar se tme dikhti muskurati sukun se tme apne andar samaleti or phir tum uske or vo tmhre hojati ek bar phir.
Good one