Khushio Ki Aahat

Abhijeet Chauhan

Mana ki zindagi mein kuch gam hain
aankhein na jaane kyu kuch nam hain
masoom woh muskurahat kahi khoyi si hain
mann mein angaaro si uthti ek shanka ku hain
ek hath dusre hath se bhi anjan kyun hain
social media ki bheed mein na jaane hum akele ku hain
unlimited calling mein baatein limited ku hai
mobile ka top up necessity toh hain,par khushio ka top up abhi bhi optional ku hain
ku is kadar hum ek dusre se emotionally distant hain
ki baat krne ke liye ek dost nahi psychatrist ki zarurat hmein hain,
is intelligence quotient ki daud mein emotional quotient low ku hain
kyu khushi ke lamhe toh hain par baatne wala koi nahi hain
aakhir is crore ki abadi mein insan akela kyun hain
darr hain ki future ki race mein hum present na kho de
aur apni khushio aur apno ko kahi black hole mein na kho de
khushi se jeene ka toh ek simple sa principle hain
apno ka sath ho toh yeh dukh kya cheez hain
pendulum si is zindagi mein ache bure pal toh oscillate karenge
par apno ka sath ho toh har dukh ko dc current ki tarah constantly khush hoke jee lenge.


Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published